किताब, Kitab, Book, Shades of Life, Life is just a Life, Neeraj Dwivedi, hindi poem, My Poem, poem, hindi poetry, Poetry, उस दिन
आँखों में आँखें डालकर
तुमने कहा था
कि किताब हो तुम
अगर किताब हूँ
तो पढ़ो तो कभी कभी
पढ़ीं कई किताबें तुमने
जरूरत की कहो या स्वार्थ की
किसी परीक्षा में उत्तीर्ण होने के लिए
पर मेरी जिंदगी की किताब ने
तुम्हारी कोई परीक्षा ली ही नहीं
बस दी है
अपने किताब होने की परीक्षा
कभी रसोई में
कभी घर के फर्श पर
कभी वाशिंग मशीन के साथ
और कभी रात में तुम्हारे बिस्तर पर
जब जब तुमने मुझे पढने का अभिनय किया, तब तब
पर तुमने कभी मुझे पढ़ा ही नहीं
इस नब्ज पर
उकेरे गए 'मैं' से पहले तक
इस किताब के हर पृष्ठ पर
हर पँक्ति के हर शब्द में
बस तुम ही तो थे
पर तुमने पढ़ा ही नहीं
तुम ही थे, तब तक
जब तक, रोम रोम इस किताब का
समय के साथ साथ आते
इन्तजार के गर्म थपेड़ों की चोट से
जर्द पीला होकर
झड़ने न लगा
बिखरने न लगा
पर तुमने पढ़ा ही नहीं
तुम उलझे ही रहे
ऊँची ऊँची काँच की दीवारों में
सुबह से रात तक
client की emails के बीच
अपना, सबका और हमारा
भविष्य बनाने संवारने में
तब तक, जब तक तुम्हारा वर्तमान
रद्दी की तरह
घर की दीमक खाती अलमारी में
पड़ा पड़ा कतरा कतरा न हो गया
पर तुमने पढ़ा ही नहीं
तुम्हे पता है
इस नब्ज पर
उकेरा गया 'मैं', भी तुम नहीं पढ़ सके
वो अंग्रेजी में लिखा गया I था
एक शातिर ब्लेड से
मेरी कलाई में बनाया गया
मेरी आत्मा में उकेरा गया I था, मैं था
कोई साधारण चीरा नहीं
पर तुमने पढ़ा ही नहीं
तुमने कहा था
कि किताब हो तुम
गर किताब हूँ
तो पढ़ो तो कभी कभी........
-- नीरज द्विवेदी (08/06/2015)
Us din
ankhon mein aankhein dalkar
tumne kaha tha
ki KITAAB ho tum
Agar Kitab hun
to padho to kabhi kabhi
Padhin kai kitabein tumne
jarurat ki kaho ya svaarth ki
kisi pareeksha mein utteern hone ke liye
Par meri jindagi ki kitaab ne
tumhari koi pareeksha li hi nahi
bas di hai
apne Kitaab hone ki pareeksha
kabhi rasoi mein
kabhi ghar ke farsh par
kabhi washing machine ke sath
aur kabhi
raat mein tumhare bistar par
Jab jab tumne mujhe padhne ka abhinay kiya, Tab tab
par tumne kabhi mujhe padha hi nahi
Is nabZ par
ukere gaye 'Main' se pahle tak
is kitaab ke har prishhth par
har panktin ke har shabd mein
bas tum hi to the
par tumne padha hi nahi
tum hi the tab tak
jab tak, rom rom is kitaab ka
samay ke sath sath aate
intjaar ke garm thapedon ki chot se
jard peela hokar
jhadne n laga
par tumne padha hi nahi
Tum uljhe hi rahe
unchi unchi kanch ki deewaron mein
subah se raat tak
client ki emails ke beech
apna sabka aur hamara
bhavishy banane sanvarne mein
tab tak, jab tak tumhara vartmaan
raddi ki tarah
ghar ki deemak khati almaari mein
pada pada katra katra n ho gaya
par tumne padha hi nahi
tumhein pata hai
is nabj par
ukera gaya 'Main', bhi tum nahi padh sake
vo angreji mein likha gaya 'I' tha
ek shatir bled se
meri kalai par banaya gaya
meri aatma par ukera gaya 'I' tha, 'Main' tha
koi sadharan cheera nahi
par tumne padha hi nahi
Tumne kaha tha
ki kitaab ho tum
gar kitaab hun
to padho to kabhi kabhi........
-- Neeraj Dwivedi(08/06/2015)
Read More